agar hain mohabbat mein kaamil hamin hain
agar haiñ mohabbat meñ kāmil hamīñ haiñ
ki sar tā-qadam 'ishq meñ dil hamīñ haiñ
hamīñ haiñ hamīñ zīnat-e-bazm-e-'ālam
hamīñ haiñ tirī sham.a-e-mahfil hamīñ haiñ
hamīñ meñ haiñ rāheñ vajūd-o-’adam kī
fanā aur baqā kī manāzil hamīñ haiñ
na hairat hai ham ko na jalva kisī kā
hamīñ ā.īna haiñ muqābil hamīñ haiñ
khulā jab gire thak ke ham chalte-chalte
hamīñ dasht-e-ġhurbat haiñ manzil hamīñ haiñ
jo ho darmiyāñ koī parda uThā.ūñ
ġhazab ye paḌā hai ki haa.il hamīñ haiñ
hamīñ par to sīkhā hai ḳhanjar lagānā
hamīñ se ho kahte ki qātil hamīñ haiñ
bahut haiñ tire yuuñ to dam bharne vaale
tire naaz uThāne ke qaa.il hamīñ haiñ
talab-gār-e-jannat bahut haiñ jahāñ meñ
tujhe tujh se māñgeñ vo saa.el hamīñ haiñ
na bhūlegā tū aur na bhūlā kisī ko
ḳhatā hai hamārī ki ġhāfil hamīñ haiñ
dikhāte ho kyā jām-e-sahbā meñ ham ko
chhalakte har ik mai haiñ maa.il hamīñ haiñ
agar hain mohabbat mein kaamil hamin hain
ki sar ta-qadam 'ishq mein dil hamin hain
hamin hain hamin zinat-e-bazm-e-'alam
hamin hain teri shama-e-mahfil hamin hain
hamin mein hain rahen wajud-o-’adam ki
fana aur baqa ki manazil hamin hain
na hairat hai hum ko na jalwa kisi ka
hamin aaina hain muqabil hamin hain
khula jab gire thak ke hum chalte-chalte
hamin dasht-e-ghurbat hain manzil hamin hain
jo ho darmiyan koi parda uThaun
ghazab ye paDa hai ki hail hamin hain
hamin par to sikha hai KHanjar lagana
hamin se ho kahte ki qatil hamin hain
bahut hain tere yun to dam bharne wale
tere naz uThane ke qail hamin hain
talab-gar-e-jannat bahut hain jahan mein
tujhe tujh se mangen wo sael hamin hain
na bhulega tu aur na bhula kisi ko
KHata hai hamari ki ghafil hamin hain
dikhate ho kya jam-e-sahba mein hum ko
chhalakte har ek mai hain mail hamin hain
- Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 6)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.