zahir mein kahin rahte hain baatin mein kahin hain
zāhir meñ kahīñ rahte haiñ bātin meñ kahīñ haiñ
ye vasf unhīñ meñ hai ki haiñ aur nahīñ haiñ
aate haiñ ḳhayāloñ meñ nigāhoñ meñ diloñ meñ
aur us pe ye kahte haiñ ki ham parda-nashīñ haiñ
ka.aba meñ kalīsā meñ pukārūñ maiñ kahāñ tak
de dījiye āvāz agar aap kahīñ haiñ
baaqī na rahā phir koī jhagḌā man-o-tū kā
un ko nazar-e-ġhaur se dekhā to hamīñ haiñ
zahir mein kahin rahte hain baatin mein kahin hain
ye wasf unhin mein hai ki hain aur nahin hain
aate hain KHayalon mein nigahon mein dilon mein
aur us pe ye kahte hain ki hum parda-nashin hain
kaba mein kalisa mein pukarun main kahan tak
de dijiye aawaz agar aap kahin hain
baqi na raha phir koi jhagDa man-o-tu ka
un ko nazar-e-ghaur se dekha to hamin hain
- Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 9)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.