hatha-pai hui zid baDh gai jhagDa nikla
hāthā-pā.ī huī zid baḌh ga.ī jhagḌā niklā
ye huā vasl ye armān mire dil kā niklā
du'ā maqbūl huī hausla dil kā niklā
marne vaale kā tumhār vo janāza niklā
kis kī rusvā.ī kā Dar thā ki jo muñh se shab-e-ġham
aah ruktī huī thamtā huā naalā niklā
be-qarārī kā asar vasl meñ bhī kam na huā
dil se armāñ jo niklā vo taḌaptā niklā
sī diye hoñT dam-e-naz.a but-e-kāfir ne
ik zarā naam zabāñ se na ḳhudā kā niklā
dil pe sadme bhī hue 'ishq meñ iizā bhī rahī
aaj ye kyā hai ki jaatā hai kalejā niklā
dil kī chorī ke bahāne jo TaTolī mahram
bole bas DhūñD liyā terā kalejā niklā
'shauq' ham kis kī qiyāmat meñ shikāyat karte
naam hī muñh se na us parda-nashīñ kā niklā
hatha-pai hui zid baDh gai jhagDa nikla
ye hua wasl ye arman mere dil ka nikla
du'a maqbul hui hausla dil ka nikla
marne wale ka tumhaar wo janaza nikla
kis ki ruswai ka Dar tha ki jo munh se shab-e-gham
aah rukti hui thamta hua nala nikla
be-qarari ka asar wasl mein bhi kam na hua
dil se arman jo nikla wo taDapta nikla
si diye honT dam-e-naza but-e-kafir ne
ek zara nam zaban se na KHuda ka nikla
dil pe sadme bhi hue 'ishq mein iza bhi rahi
aaj ye kya hai ki jata hai kaleja nikla
dil ki chori ke bahane jo TaToli mahram
bole bas DhunD liya tera kaleja nikla
'shauq' hum kis ki qiyamat mein shikayat karte
nam hi munh se na us parda-nashin ka nikla
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.