garmiyan aapne kin wasl ke inkaron par
garmiyāñ aap ne kiiñ vasl ke inkāroñ par
bātoñ-bātoñ meñ liTāyā mujhe añgāroñ par
abhī iqrār na inkār hai kuchh bosoñ kā
paḌ ga.e niil tire phuul se ruḳhsāroñ par
mujh par abrū bhī khīñchī hilne lagīñ palkeñ bhī
tiir maare sitam-ījād ne talvāroñ par
beḌiyoñ kī hai na chhankār na ġhul nāloñ kā
kuchh na kuchh ban ga.ī zindāñ kī giraftāroñ par
muskurātā huā aatā hai vo yūsuf shāyad
bijliyāñ kauñdtī phirtī haiñ ḳharīdāroñ par
nāma-bar chāhne vāloñ ke chale aate haiñ
roz utarte haiñ kabūtar tirī dīvāroñ par
khol do daftar-e-a’amāl ko tum bhī 'mohsin'
abr-e-rahmat umañD aayā hai gunahgāroñ par
garmiyan aap ne kin wasl ke inkaron par
baaton-baaton mein liTaya mujhe angaron par
abhi iqrar na inkar hai kuchh boson ka
paD gae nil tere phul se ruKHsaron par
mujh par abru bhi khinchi hilne lagin palken bhi
tir mare sitam-ijad ne talwaron par
beDiyon ki hai na chhankar na ghul nalon ka
kuchh na kuchh ban gai zindan ki giraftaron par
muskuraata hua aata hai wo yusuf shayad
bijliyan kaundti phirti hain KHaridaron par
nama-bar chahne walon ke chale aate hain
roz utarte hain kabutar teri diwaron par
khol do daftar-e-a’amal ko tum bhi 'mohsin'
abr-e-rahmat umanD aaya hai gunahgaron par
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 20)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.