Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kisi mashuq kamsin ki shararat hone wali hai

Unknown

kisi mashuq kamsin ki shararat hone wali hai

Unknown

MORE BYUnknown

    kisī ma.ashūq kamsin sharārat hone vaalī hai

    hamāre dil pe ab ġham hukūmat hone vaalī hai

    kisī ko ham se dar-parda mohabbat hone vaalī hai

    hamāre ishq duniyā meñ shohrat hone vaalī hai

    chaḌhā kar āstīñ maqtal meñ yuuñ bolā but-e-qātil

    kisī ko aaj un hāthoñ se jannat hone vaalī hai

    gale mil-mil ke kyuuñ armān-o-hasrat rote haiñ bāham

    tamannā-e-dilī kyā aaj ruḳhsat hone vaalī hai

    tirī tirchhī nigāheñ kah rahī haiñ saaf ai zālim

    mohabbat ġhair se ham se adāvat hone vaalī hai

    ḳhushī kyuuñ kar na ho jiine se baḌh kar mujh ko marne

    tasavvur meñ kisī ke apnī rehlat hone vaalī hai

    kahīñ sach ho kahīñ sach ho ilāhī un ye kahnā

    ki ‘sharmā’ par bhī ab chashm-e-'ināyat hone vaalī hai

    kisi mashuq kamsin ki shararat hone wali hai

    hamare dil pe ab gham ki hukumat hone wali hai

    kisi ko hum se dar-parda mohabbat hone wali hai

    hamare ishq ki duniya mein shohrat hone wali hai

    chaDha kar aastin maqtal mein yun bola but-e-qatil

    kisi ko aaj un hathon se jannat hone wali hai

    gale mil-mil ke kyun arman-o-hasrat rote hain baham

    tamanna-e-dili kya aaj ruKHsat hone wali hai

    teri tirchhi nigahen kah rahi hain saf ai zalim

    mohabbat ghair se hum se adawat hone wali hai

    KHushi kyun kar na ho jine se baDh kar mujh ko marne ki

    tasawwur mein kisi ke apni rehlat hone wali hai

    kahin sach ho kahin sach ho ilahi un ka ye kahna

    ki ‘sharma’ par bhi ab chashm-e-'inayat hone wali hai

    Source :
    • Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 20)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now