chakha de chashni sharbat-e-didar thoDi si
chakhā de chāshnī sharbat-e-dīdār thoḌī sī
dam-e-āḳhir to kar le ḳhātir-e-bīmār thoḌī sī
taġhāful sar jhukāne meñ kiyā kab maiñ ne o qātil
nikal kar rah ga.ī kyuuñ miyān se talvār thoḌī sī
ajal tū Thahar jā dam-bhar zarā to dekh lene de
abhī baaqī hai dil meñ hasrat-e-dīdār thoḌī sī
tamannā hai yahī dil kī banā.eñ qabr ham apnī
jo mil jaa.e zamīn-e-kūcha-e-dil-dār thoḌī sī
tumheñ fursat mile gar ġhair kī bātoñ ke sunñe se
hamāre ’arz bhī sun lījiye sarkār thoḌī sī
chakha de chashni sharbat-e-didar thoDi si
dam-e-aKHir to kar le KHatir-e-bimar thoDi si
taghaful sar jhukane mein kiya kab main ne o qatil
nikal kar rah gai kyun miyan se talwar thoDi si
ajal tu Thahar ja dam-bhar zara to dekh lene de
abhi baqi hai dil mein hasrat-e-didar thoDi si
tamanna hai yahi dil ki banaen qabr hum apni
jo mil jae zamin-e-kucha-e-dil-dar thoDi si
tumhein fursat mile gar ghair ki baaton ke sunne se
hamare ’arz bhi sun lijiye sarkar thoDi si
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 21)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.