aao pahlu mein mere tumko KHatar kis ka hai
aao pahlū meñ mire tum ko ḳhatar kis kā hai
ḳhauf tum ko mirī jaañ shām-o-sahar kis kā hai
ġhair se hoyeñge vāsil ki mileñge mujh se
vasl pūchho unheñ manzūr-e-nazar kis kā hai
mere qātil ne mire sar ko judā kar ke kahā
nīm-bismil jo taḌaptā hai ye sar kis kā hai
jis ke kūcha meñ kabhī ḳhauf se yūsuf na ga.e
phir batāo to bhalā vaañ pe guzar kis kā hai
ka.abe meñ aap kā maskan thā ye maanā ai 'azīz
aur kalīse meñ makāñ rashk-e-qamar kis kā hai
aao pahlu mein mere tum ko KHatar kis ka hai
KHauf tum ko meri jaan sham-o-sahar kis ka hai
ghair se hoyenge wasil ki milenge mujh se
wasl puchho unhen manzur-e-nazar kis ka hai
mere qatil ne mere sar ko juda kar ke kaha
nim-bismil jo taDapta hai ye sar kis ka hai
jis ke kucha mein kabhi KHauf se yusuf na gae
phir batao to bhala wan pe guzar kis ka hai
kabe mein aap ka maskan tha ye mana ai 'aziz
aur kalise mein makan rashk-e-qamar kis ka hai
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 21)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.