husn insan mein jab aaya to ada bhi aai
husn insān meñ jab aayā to adā bhī aa.ī
nāz-o-andāz jab aayā to jafā bhī aa.ī
sham.a mahfil meñ jab aa.ī to havā bhī aa.ī
ruuh qālib meñ jab aa.ī to fanā bhī aa.ī
yuuñ to har roz laḌāte the sar-e-bām āñkheñ
aaj pahlū meñ jo baiThe to hayā bhī aa.ī
shīsha-e-dil ko mere aap ne toḌā sāhib
ye to farmā.iye kānoñ meñ sadā bhī aa.ī
haa.e kis vaqt huiiñ donoñ murādeñ hāsil
yaar bālīñ pe jab aayā to qazā bhī aa.ī
husn insan mein jab aaya to ada bhi aai
naz-o-andaz jab aaya to jafa bhi aai
shama mahfil mein jab aai to hawa bhi aai
ruh qalib mein jab aai to fana bhi aai
yun to har roz laDate the sar-e-baam aankhen
aaj pahlu mein jo baiThe to haya bhi aai
shisha-e-dil ko mere aap ne toDa sahib
ye to farmaiye kanon mein sada bhi aai
hae kis waqt huin donon muraden hasil
yar baalin pe jab aaya to qaza bhi aai
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 4)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.