uske aaina-e-ruKHsar ko dekha maine
us ke ā.īna-ruḳhsār ko dekhā maiñ ne
ai mohabbat tire me.ayār ko dekhā maiñ ne
rāste se koī matlab thā na manzil se ġharaz
saath chal kar tirī raftār ko dekhā maiñ ne
dil kā saudā na kiyā aur na karnā thā mujhe
haañ magar naqd-e-ḳharīdār ko dekhā maiñ ne
do qadam bhī na musāfir kā diyā saath us ne
aap ke sāya-e-dīvār ko dekhā maiñ ne
apnī āshufta-mizājī pe huā mujh ko ġhurūr
jab tire gesū-e-ḳhamdār ko dekhā maiñ ne
umr bhar jhūTī ḳhushāmad kī rahī baat ūñchī
umr bhar aap ke darbār ko dekhā maiñ ne
terī bātoñ kā kise hosh hai lekin ai dost
sahr-e-chashm-o-lab-o-ukHsār ko dekhā maiñ ne
zindagī mere masā.il ke sivā aur bhī hai
aap us qulzum-e-zaḳhḳhār ko dekhā maiñ ne
kuchh batā maiñ to sahī aap kā 'maikash' to na thā
aaj ik kāfir-e-dīñ-dār ko dekhā maiñ ne
us ke aaina-ruKHsar ko dekha main ne
ai mohabbat tere meayar ko dekha main ne
raste se koi matlab tha na manzil se gharaz
sath chal kar teri raftar ko dekha main ne
dil ka sauda na kiya aur na karna tha mujhe
han magar naqd-e-KHaridar ko dekha main ne
do qadam bhi na musafir ka diya sath us ne
aap ke saya-e-diwar ko dekha main ne
apni aashufta-mizaji pe hua mujh ko ghurur
jab tere gesu-e-KHamdar ko dekha main ne
umr bhar jhuTi KHushamad ki rahi baat unchi
umr bhar aap ke darbar ko dekha main ne
teri baaton ka kise hosh hai lekin ai dost
sahr-e-chashm-o-lab-o-ukHsar ko dekha main ne
zindagi mere masail ke siwa aur bhi hai
aap us qulzum-e-zaKHKHar ko dekha main ne
kuchh bata main to sahi aap ka 'maikash' to na tha
aaj ek kafir-e-din-dar ko dekha main ne
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 290)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.