us mast-nazar ka uf re sitam jis waqt idhar ho jati hai
us mast-nazar ka uf re sitam jis waqt idhar ho jati hai
Aziz Warsi Dehlvi
MORE BYAziz Warsi Dehlvi
us mast-nazar kā uf re sitam jis vaqt idhar ho jaatī hai
majrūh jigar ho jaatā hai betāb nazar ho jaatī hai
hairāñ huuñ ki rone kī mere kis tarah ḳhabar ho jaatī hai
har shāḳh chaman meñ pichhle pahar har rose hī tar ho jaatī hai
allāh re ye dastūr-e-amal allāh re ye qānūn-e-aTal
jis samt vo nazreñ uThtī haiñ duniyā hī udhar ho jaatī hai
ik vo bhī zamāna thā apnā phūloñ pe baserā hotā thā
ik ye bhī zamāna hai apnā kāñToñ pe basar ho jaatī hai
jis shām-e-alam kī tārīkī ġham-e-dil kā farāvāñ kartī ho
us shaam kī aksar tārīkī pur-nūr sahr ho jaatī hai
ik rose qamar ban jaatā hai jis tarh mah-e-nau gardish se
us tarh mohabbat meñ dil kī har aah sharar ho jaatī hai
jo 'nūh' se nisbat rakhte haiñ lā-raib 'azīz' un kī kashtī
dam-bhar meñ idhar ho jaatī hai dam-bhar meñ udhar ho jaatī hai
us mast-nazar ka uf re sitam jis waqt idhar ho jati hai
majruh jigar ho jata hai betab nazar ho jati hai
hairan hun ki rone ki mere kis tarah KHabar ho jati hai
har shaKH chaman mein pichhle pahar har rose hi tar ho jati hai
allah re ye dastur-e-amal allah re ye qanun-e-aTal
jis samt wo nazren uThti hain duniya hi udhar ho jati hai
ek wo bhi zamana tha apna phulon pe basera hota tha
ek ye bhi zamana hai apna kanTon pe basar ho jati hai
jis sham-e-alam ki tariki gham-e-dil ka farawan karti ho
us sham ki aksar tariki pur-nur sahr ho jati hai
ek rose qamar ban jata hai jis tarh mah-e-nau gardish se
us tarh mohabbat mein dil ki har aah sharar ho jati hai
jo 'nuh' se nisbat rakhte hain la-raib 'aziz' un ki kashti
dam-bhar mein idhar ho jati hai dam-bhar mein udhar ho jati hai
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 92)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.