use kyun sahr se nishat ho use kya malal ho sham se
use kyun sahr se nishat ho use kya malal ho sham se
Aziz Warsi Dehlvi
MORE BYAziz Warsi Dehlvi
use kyuuñ sahr se nishāt ho use kyā malāl ho shaam se
jise ishq hai tire zikr se jise uns hai tire naam se
vo tumhāre taur-o-tarīq the ki hazār rañg badal liye
ye hamāre dil kā shu.ūr hai na haTe ham apne maqām se
mirī aarzū ke charāġh par koī tabsira bhī kare to kyā
kabhī jal uThā sar-e-shām se kabhī bujh gayā sar-e-shām se
jo hayāt-e-ishq-soz ga.ī to hayāt-e-husn nikhar ga.ī
kabhī tere husn-e-ḳhirām se kabhī mere soz-e-davām se
jo 'azīz-e-vārsī' thā kabhī vo 'azīz-e-vārsī' ab nahīñ
na junūn-e-ishq-e-butāñ hai ab na ġharaz hai bāda-o-jām se
use kyun sahr se nishat ho use kya malal ho sham se
jise ishq hai tere zikr se jise uns hai tere nam se
wo tumhaare taur-o-tariq the ki hazar rang badal liye
ye hamare dil ka shuur hai na haTe hum apne maqam se
meri aarzu ke charagh par koi tabsira bhi kare to kya
kabhi jal uTha sar-e-sham se kabhi bujh gaya sar-e-sham se
jo hayat-e-ishq-soz gai to hayat-e-husn nikhar gai
kabhi tere husn-e-KHiram se kabhi mere soz-e-dawam se
jo 'aziz-e-warsi' tha kabhi wo 'aziz-e-warsi' ab nahin
na junun-e-ishq-e-butan hai ab na gharaz hai baada-o-jam se
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 158)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.