Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

usi ke jalwe the lekin visal-e-yar na tha

Aasi Ghazipuri

usi ke jalwe the lekin visal-e-yar na tha

Aasi Ghazipuri

usī ke jalve the lekin visāl-e-yār na thā

maiñ us ke vāste kis vaqt be-qarār na thā

koī jahān meñ kyā aur tarah-dār na thā

tirī tarah mujhe dil par to iḳhtiyār na thā

ḳhirām-e-jalva ke naqsh-e-qadam the lāla-o-gul

kuchh aur us ke sivā mausam-e-bahār na thā

vo kaun nāla-e-dil thā qafas meñ ai sayyād

ki misl-e-tīr-e-nazar āsmāñ shikār na thā

ġhalat hai hukm-e-jahannam kise huā hogā

ki mujh se baḌh ke to koī gunāhgār na thā

vafūr-e-be-ḳhudī-e-bazm-e-mai na pūchho raat

koī ba-juz nigah-e-yār hoshiyār na thā

lahad ko khol ke dekho to ab kafan bhī nahīñ

koī libās na thā jo ki musta.ār na thā

mahv-e-gulbun-o-gulzār ho gayā 'āsī'

tirī nazar meñ jamāl-e-ḳhayāl-e-yār na thā

usi ke jalwe the lekin visal-e-yar na tha

main us ke waste kis waqt be-qarar na tha

koi jahan mein kya aur tarah-dar na tha

teri tarah mujhe dil par to iKHtiyar na tha

ḳhirām-e-jalwa ke naqsh-e-qadam the lala-o-gul

kuchh aur us ke siwa mausam-e-bahaar na tha

wo kaun nala-e-dil tha qafas mein ai sayyaad

ki misl-e-tir-e-nazar aasman shikar na tha

ghalat hai hukm-e-jahannam kise hua hoga

ki mujh se baDh ke to koi gunahgar na tha

wafūr-e-be-ḳhudī-e-bazm-e-mai na puchho raat

koi ba-juz nigah-e-yar hoshiyar na tha

lahad ko khol ke dekho to ab kafan bhi nahin

koi libas na tha jo ki mustaar na tha

tu mahw-e-gulbun-o-gulzar ho gaya 'asi'

teri nazar mein jamal-e-KHayal-e-yar na tha

Source :
  • Book : Diwan-e-aasi (Pg. 14)
  • Author : Aasi Ghazipuri
  • Publication : Subhanallah Azeem Gorakhpuri (1938)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now