wahan mai-kashi mai-parasti rahi
vahāñ mai-kashī mai-parastī rahī
yahāñ umr bhar faaqa mastī rahī
khule kab rahe zarf-e-mai raat ko
marī ruuh saaqī tarastī rahī
hasīñ dil ko tārāj karte rahe
hamesha ujaḌtī ye bastī rahī
bikī mai bahut fasl-e-gul meñ garāñ
jo sach pūchho phir bhī ye sastī rahī
kahāñ raqs tā.ūs-e-mīnā rahā
kahāñ ai ghaTā tū barastī rahī
pilā dī thī saaqī ne kaisī mujhe
ki mahshar meñ bhī mujh ko mastī rahī
tirī zulf par log marte rahe
ye nāgin yūñhī sab ko Dastī rahī
na kuchh de sake mai-faroshoñ ko bhī
bahut un dinoñ tañg-dastī rahī
qayāmat meñ bhī un ke tarz-e-ḳhirām
qayāmat par āvāze kustī rahī
lahad par ugā bhī jo sabza kabhī
ghaTā ban ke hasrat barastī rahī
ye past-o-buland jahāñ saath haiñ
rahī ye bhī jab tak ye hastī rahī
vo bole tirī aah sozāñ 'riyāz'
hamesha tirā muñh jhulastī rahī
wahan mai-kashi mai-parasti rahi
yahan umr bhar faqa masti rahi
khule kab rahe zarf-e-mai raat ko
mari ruh saqi tarasti rahi
hasin dil ko taraj karte rahe
hamesha ujaDti ye basti rahi
biki mai bahut fasl-e-gul mein garan
jo sach puchho phir bhi ye sasti rahi
kahan raqs taus-e-mina raha
kahan ai ghaTa tu barasti rahi
pila di thi saqi ne kaisi mujhe
ki mahshar mein bhi mujh ko masti rahi
teri zulf par log marte rahe
ye nagin yunhi sab ko Dasti rahi
na kuchh de sake mai-faroshon ko bhi
bahut un dinon tang-dasti rahi
qayamat mein bhi un ke tarz-e-KHiram
qayamat par aawaze kusti rahi
lahad par uga bhi jo sabza kabhi
ghaTa ban ke hasrat barasti rahi
ye past-o-buland jahan sath hain
rahi ye bhi jab tak ye hasti rahi
wo bole teri aah sozan 'riyaz'
hamesha tera munh jhulasti rahi
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 399)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.