wahi raftar ho jaana wahi guftar ho jaana
vahī raftār ho jaanā vahī guftār ho jaanā
kamāl-e-ishq hai timsāl-e-husn-e-yār ho jaanā
mirā sheva hai apnī aarzū meñ dekh kar un ko
har ik jalve pe mamnūn-e-dil-e-bīmār ho jaanā
ḳhayāl aayā ki dil siine ke andar ho gayā bismil
ye kis ne husn ko sikhlā diyā talvār ho jaanā
uḌā degā tamāmī parda-hā-e-rāz ke TukḌe
ġhazab hai mai-kash-e-asrār kā hushyār ho jaanā
sukūn aane lagā hai phir mirī duniyā-e-muztar meñ
zarā betāb kun phir ai ġham-e-dīdār ho jaanā
'nushūr'-e-vāhidī kī tab.a-e-rañgīñ ai ma.āz-allāh
zamāna chhoḌ kar āvāra-e-gulzār ho jaanā
wahi raftar ho jaana wahi guftar ho jaana
kamal-e-ishq hai timsal-e-husn-e-yar ho jaana
mera shewa hai apni aarzu mein dekh kar un ko
har ek jalwe pe mamnun-e-dil-e-bimar ho jaana
KHayal aaya ki dil sine ke andar ho gaya bismil
ye kis ne husn ko sikhla diya talwar ho jaana
uDa dega tamami parda-ha-e-raaz ke TukDe
ghazab hai mai-kash-e-asrar ka hushyar ho jaana
sukun aane laga hai phir meri duniya-e-muztar mein
zara betab kun phir ai gham-e-didar ho jaana
'nushur'-e-wahidi ki taba-e-rangin ai maaz-allah
zamana chhoD kar aawara-e-gulzar ho jaana
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 308)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.