wahshi the bu-e-gul ki tarah se jahan mein hum
wahshi the bu-e-gul ki tarah se jahan mein hum
Khwaja Haidar Ali Aatish
MORE BYKhwaja Haidar Ali Aatish
vahshī the bū-e-gul kī tarah se jahāñ meñ ham
nikle to phir ke aa.e na apne makāñ meñ ham
shaidā-e-rū-e-gul na haiñ shaidā-e-qadd-e-sarv
sayyād ke shikār haiñ is bostāñ meñ ham
niklī laboñ se aah ki gardūñ nishāna thā
goyā ki tiir joḌe hue the kamāñ meñ ham
ālūda-e-gunāh hai apnā riyāz bhī
shab kāTte haiñ jaag ke muġh kī dukāñ meñ ham
himmat pas-e-fanā sabab-e-zikr-e-ḳhair hai
murdoñ kā naam sunte haiñ har dāstāñ meñ ham
'ātish' suḳhan kī qadr zamāne se uTh ga.ī
maqdūr ho to qufl lagā.eñ dahāñ meñ ham
wahshi the bu-e-gul ki tarah se jahan mein hum
nikle to phir ke aae na apne makan mein hum
shaida-e-ru-e-gul na hain shaida-e-qadd-e-sarw
sayyaad ke shikar hain is bostan mein hum
nikli labon se aah ki gardun nishana tha
goya ki tir joDe hue the kaman mein hum
aaluda-e-gunah hai apna riyaz bhi
shab kaTte hain jag ke mugh ki dukan mein hum
himmat pas-e-fana sabab-e-zikr-e-KHair hai
murdon ka nam sunte hain har dastan mein hum
'atish' suKHan ki qadr zamane se uTh gai
maqdur ho to qufl lagaen dahan mein hum
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 6)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.