Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

wasl ke din hum ko apnī hi KHabar jati rahi

Mardan Safi

wasl ke din hum ko apnī hi KHabar jati rahi

Mardan Safi

vasl ke din ham ko apnī ḳhabar jaatī rahī

jān-o-tan meñ sūrat-e-jānāñ nazar aatī rahī

sar ko siina par hamāre the dhare vo ek din

bū-e-mushkīñ zulf-e-jānāñ umr-bhar aatī rahī

shorish-e-ulfat meñ ham ko ho gayā dīvāna-pan

go sabā paiġhām-e-vaslat har sahar laatī rahī

go hue furqat kabhī to kyā jamāl-e-yār se

dam-ba-dam un mohabbat dil meñ ghar paatī rahī

tum ko ulfat gar hai un un ko tum se beshtar

ye qasam mashshāta ham se aan kar khātī rahī

mehr-o-ulfat jab huī kam tab vo aa.e mahr par

kab rahī qīmat vo jab tāb-e-gohr jaatī rahī

vo rahe ḳhush ham se 'mardāñ' aur kabhī nā-ḳhush rahe

dil meñ ham ko har adā un magar bhātī rahī

wasl ke din hum ko apnī hi KHabar jati rahi

jaan-o-tan mein surat-e-jaanan nazar aati rahi

sar ko sina par hamare the dhare wo ek din

bu-e-mushkin zulf-e-jaanan umr-bhar aati rahi

shorish-e-ulfat mein hum ko ho gaya diwana-pan

go saba paigham-e-waslat har sahar lati rahi

go hue furqat kabhi to kya jamal-e-yar se

dam-ba-dam un ki mohabbat dil mein ghar pati rahi

tum ko ulfat gar hai un ki un ko tum se beshtar

ye qasam mashshata hum se aan kar khati rahi

mehr-o-ulfat jab hui kam tab wo aae mahr par

kab rahi qimat wo jab tab-e-gohr jati rahi

wo rahe KHush hum se 'mardan' aur kabhi na-KHush rahe

dil mein hum ko har ada un ki magar bhati rahi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now