wasl ki shab rang-e-gardun nau-e-digar ho gaya
wasl ki shab rang-e-gardun nau-e-digar ho gaya
Khwaja Haidar Ali Aatish
MORE BYKhwaja Haidar Ali Aatish
vasl kī shab rañg-e-gardūñ nau.-e-dīgar ho gayā
shaam se yaar aur maiñ jaame se bāhar ho gayā
us shah-e-ḳhūbāñ ko jab likhā a.rīza shauq kā
is qadar loTā humā us par kabūtar ho gayā
kū-ba-kū phirtā huuñ maiñ ḳhāna-ḳharāboñ kī tarah
jaise saude kā tire sar meñ mire ghar ho gayā
bojh hai hammāl kā qāsid se uThne kā nahīñ
tūl-e-sharh-e-shauq se maktūb daftar ho gayā
gosh-e-'ārif meñ ye goristāñ se aatī hai sadā
āsmāñ hai vah zamīñ ke jo barābar ho gayā
tere pahlū se judā hote hī ai ārām-e-jāñ
ustuḳhvāñ jo thā mire pahlū meñ ḳhanjar ho gayā
sāmnā jo paḌ gayā hosh uḌ ga.e be-ḳhud huā
jām-e-chashm-e-yār be-hoshī kā sāġhar ho gayā
ek alif se qad ke saude meñ huā 'ātish' faqīr
chaar abrū ko safā kar ke qalandar ho gayā
wasl ki shab rang-e-gardun nau-e-digar ho gaya
sham se yar aur main jame se bahar ho gaya
us shah-e-KHuban ko jab likha ariza shauq ka
is qadar loTa huma us par kabutar ho gaya
ku-ba-ku phirta hun main KHana-KHarabon ki tarah
jaise saude ka tere sar mein mere ghar ho gaya
bojh hai hammal ka qasid se uThne ka nahin
tul-e-sharh-e-shauq se maktub daftar ho gaya
gosh-e-'arif mein ye goristan se aati hai sada
aasman hai wah zamin ke jo barabar ho gaya
tere pahlu se juda hote hi ai aaram-e-jaan
ustuKHwan jo tha mere pahlu mein KHanjar ho gaya
samna jo paD gaya hosh uD gae be-KHud hua
jam-e-chashm-e-yar be-hoshi ka saghar ho gaya
ek alif se qad ke saude mein hua 'atish' faqir
chaar abru ko safa kar ke qalandar ho gaya
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 14)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.