viran aur husn ka manzar liye hue
vīrān aur husn kā manzar liye hue
allāh re dil-e-taḳhayyul dilbar liye hue
maiñ lutf uThā rahā huuñ dil-o-dil-navāz kā
ā.īna āftāb ke ruḳh par liye hue
kitnoñ ko hosh tak na rahā apne aap kā
guzre jo aap zulf-e-mo.ambar liye hue
ḳhud pī leñ yā pilā deñ kisī tishna-kām ko
kyā dekhte haiñ haath meñ sāġhar liye hue
ḳhāk-e-lahad meñ so.eñge ye fitna-gar to kyā
uTheñge phir ye fitna-e-mahshr liye hue
ye mutribān-e-bazm to kuchh rāz-e-dil 'nashvar'
haiñ parda rabāb ke andar liye hue
viran aur husn ka manzar liye hue
allah re dil-e-taKHayyul dilbar liye hue
main lutf uTha raha hun dil-o-dil-nawaz ka
aaina aaftab ke ruKH par liye hue
kitnon ko hosh tak na raha apne aap ka
guzre jo aap zulf-e-moambar liye hue
KHud pi len ya pila den kisi tishna-kaam ko
kya dekhte hain hath mein saghar liye hue
KHak-e-lahad mein soenge ye fitna-gar to kya
uThenge phir ye fitna-e-mahshr liye hue
ye mutriban-e-bazm to kuchh raaz-e-dil 'nashwar'
hain parda rabab ke andar liye hue
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 309)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.