Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

wo aaenge wo aate hain wo aane ko hain wo aae

Zaheen Shah Taji

wo aaenge wo aate hain wo aane ko hain wo aae

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    vo ā.eñge vo aate haiñ vo aane ko haiñ vo aa.e

    tasavvur ko vo bahlā.eñ tasavvur ham ko bahlā.e

    vo chamkā chāñd chhaTkī chāñdnī taare nikal aa.e

    vo kyā aa.e zamīñ par āsmāñ ne phuul barsā.e

    azal se tā-abad hai jalva farmā husn-e-sad-sheva

    vahī sāhab nazar hai jo barābar dekhtā jaa.e

    kahāñ insāñ kahāñ aql-o-ḳhirad beḌiyāñ tauba

    zarā bhī aql ho to aadmī dīvāna ho jaa.e

    vajūd-e-nūr par mauqūf haiñ āsār-e-zulmat bhī

    na hogī raushnī to phir kahāñ jā.eñge ye saa.e

    'zahīn' āsūdgī rāh-e-talab meñ hai ziyāñ-kārī

    hazāroñ kos haiñ vo duur jo ek lamha sustā.e

    wo aaenge wo aate hain wo aane ko hain wo aae

    tasawwur ko wo bahlaen tasawwur hum ko bahlae

    wo chamka chand chhaTki chandni tare nikal aae

    wo kya aae zamin par aasman ne phul barsae

    azal se ta-abad hai jalwa farma husn-e-sad-shewa

    wahi sahab nazar hai jo barabar dekhta jae

    kahan insan kahan aql-o-KHirad ki beDiyan tauba

    zara bhi aql ho to aadmi diwana ho jae

    wajud-e-nur par mauquf hain aasar-e-zulmat bhi

    na hogi raushni to phir kahan jaenge ye sae

    'zahin' aasudgi rah-e-talab mein hai ziyan-kari

    hazaron kos hain wo dur jo ek lamha sustae

    Source :
    • Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 200)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now