wo bhi waqt aaya tha jab wo zeb-e-fraaz-e-baam hue
vo bhī vaqt aayā thā jab vo zeb-e-frāz-e-bām hue
lekin tāb-e-dīd kise thī ahl-e-nazar nākām hue
rafta rafta josh-e-junūn-e-ishq hameñ raas aa hī gayā
har lamha taskīn-e-dil ko un ke jalve aam hue
un kā kaif hai un kī mastī un kī hastī rashk-e-jahāñ
saaqī kī āñkhoñ se mayassar jin rindoñ ko jaam ho.e
vo āñkheñ vo zulfeñ vo ruḳh vo ġhamze vo nāz-o-adā
kis ne asīr-e-dām kiyā ham ḳhud hī asīr-e-dām hue
ham haiñ sarāpā ishq-o-mohabbat ham haiñ amīn-e-rāz-e-vafā
roz-e-azal se apnā muqaddar dard-o-ġham-o-ālām hue
mujh ko miTāne meñ ai 'sādiq' duniyā to sar-garm rahī
lekin un kī yaad ke lamhe jiine kā paiġhām ho.e
wo bhi waqt aaya tha jab wo zeb-e-fraaz-e-baam hue
lekin tab-e-did kise thi ahl-e-nazar nakaam hue
rafta rafta josh-e-junun-e-ishq hamein ras aa hi gaya
har lamha taskin-e-dil ko un ke jalwe aam hue
un ka kaif hai un ki masti un ki hasti rashk-e-jahan
saqi ki aankhon se mayassar jin rindon ko jam hoe
wo aankhen wo zulfen wo ruKH wo ghamze wo naz-o-ada
kis ne asir-e-dam kiya hum KHud hi asir-e-dam hue
hum hain sarapa ishq-o-mohabbat hum hain amin-e-raaz-e-wafa
roz-e-azal se apna muqaddar dard-o-gham-o-alam hue
mujh ko miTane mein ai 'sadiq' duniya to sar-garm rahi
lekin un ki yaad ke lamhe jine ka paigham hoe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.