wo haiñ aaj baala-e-baam allah-allah
vo haiñ aaj bālā-e-bām allāh-allāh
mai-e-ishq kā le ke jaam allāh-allāh
mujhe kar diyā ḳhud se be-ḳhud unhoñ ne
nigāhoñ se de kar payām allāh-allāh
ye mere liye muzda-e-jāñ-fizā hai
mileñge vo ab sub.h-o-shām allah-allāh
na hogā tumheñ tishna-kāmī kā shikvā
vo de kar ga.e ye payām allāh-allāh
raheñ apne va.ade pe sābit-qadam vo
rahe un kā lutf-e-davām allāh-allah
jo sunte na the merī arz-e-tamannā
vo lete haiñ ab merā naam allāh-allāh
mire ḳhāna-e-dil meñ haiñ jalva-farmā
jo haiñ misl-e-māh-e-tamām allāh-allāh
thā ab tak giraftār zulfoñ meñ jin kī
vo haiñ ab mire zer-e-dām allāh-allāh
kahāñ maiñ kahāñ un kī 'barqī'-navāzī
vo karte haiñ mujh ko salām allāh-allāh
wo haiñ aaj baala-e-baam allah-allah
mai-e-ishq ka le ke jam allah-allah
mujhe kar diya KHud se be-KHud unhon ne
nigahon se de kar payam allah-allah
ye mere liye muzda-e-jaan-fiza hai
milenge wo ab subh-o-sham allah-allah
na hoga tumhein tishna-kaami ka shikwa
wo de kar gae ye payam allah-allah
rahen apne wade pe sabit-qadam wo
rahe un ka lutf-e-dawam allah-allah
jo sunte na the meri arz-e-tamanna
wo lete haiñ ab mera nam allah-allah
mere KHana-e-dil mein hain jalwa-farma
jo hain misl-e-mah-e-tamam allah-allah
tha ab tak giraftar zulfon mein jin ki
wo hain ab mere zer-e-dam allah-allah
kahan main kahan un ki 'barqi'-nawazi
wo karte haiñ mujh ko salam allah-allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.