wo hu-haq ab kahan afsurda hai mai-KHana barson se
wo hu-haq ab kahan afsurda hai mai-KHana barson se
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
vo hū-haq ab kahāñ afsurda hai mai-ḳhāna barsoñ se
nahīñ qaa.em huī hai majlis rindāna barsoñ se
hai bargashta kisī kī nargis-e-mastāna barsoñ se
liye phirtā huuñ maiñ apnā tahī-paimāna barsoñ se
na aa.ī merī naubat vā-e-sāqī hā-e-mahrūmī
barābar go hai gardish meñ tirā paimāna barsoñ se
ba’īd insāf se hai ġhair ko tarjīh mujh par ho
vo 'āshiq kal huā maiñ huuñ tirā dīvāna barsoñ se
ba-juz ’ijz-o-niyāz-o-bandagī maiñ aur kyā jānūñ
ye dil hai zer-e-mashq-e-nāz-e-ma’ashūqāna barsoñ se
unheñ āḳhir mirī yaad aa.ī aur is andāz se aa.ī
nahīñ aayā hai is jānib mirā dīvāna barsoñ se
bas ab aa jā bas ab aa jā karam-farmā karam-farmā
sadā.eñ de rahā hai koī betābāna barsoñ se
surāhī dar-baġhal sāġhar-ba-kaf msatānā-vār aa jā
lagā.e aasrā baiThā hai ik mastāna barsoñ se
dil-e-pur-shauq roz is bazm meñ is tarah jaatā hai
ki dekhī ho na jaise sūrat-e-jānāna barsoñ se
kabhī majnūñ sunātā thā aur ab 'majzūb' se sun lo
chalā aatā hai duniyā meñ mirā afsāna barsoñ se
wo hu-haq ab kahan afsurda hai mai-KHana barson se
nahin qaem hui hai majlis rindana barson se
hai bargashta kisi ki nargis-e-mastana barson se
liye phirta hun main apna tahi-paimana barson se
na aai meri naubat wa-e-saqi ha-e-mahrumi
barabar go hai gardish mein tera paimana barson se
ba’id insaf se hai ghair ko tarjih mujh par ho
wo 'ashiq kal hua main hun tera diwana barson se
ba-juz ’ijz-o-niyaz-o-bandagi main aur kya jaanun
ye dil hai zer-e-mashq-e-naz-e-ma’ashuqana barson se
unhen aaKHir meri yaad aai aur is andaz se aai
nahin aaya hai is jaanib mera diwana barson se
bas ab aa ja bas ab aa ja karam-farma karam-farma
sadaen de raha hai koi betabana barson se
surahi dar-baghal saghar-ba-kaf msatana-war aa ja
lagae aasra baiTha hai ek mastana barson se
dil-e-pur-shauq roz is bazm mein is tarah jata hai
ki dekhi ho na jaise surat-e-jaanana barson se
kabhi majnun sunata tha aur ab 'majzub' se sun lo
chala aata hai duniya mein mera afsana barson se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.