wo jab rang-e-pareshani ko KHalwat-gir dekhenge
vo jab rañg-e-pareshānī ko ḳhalvat-gīr dekheñge
to apne har tasavvur meñ mirī tasvīr dekheñge
nazar jin kī asīr-e-halqa-e-tadbīr rahtī hai
vo kyā anjām-kār-e-vusa't-e-taqdīr dekheñge
sunā hai husn ko do-chand kar detā hai ye shīsha
lagā kar apne dil meñ aap kī tasvīr dekheñge
jinheñ hai uzr ik lafz-e-tamannā kī samā.at se
vo ik din jā-ba-jā is lafz kī tafsīr dekheñge
ma'āl-e-ahl-e-ġhaflat ho chukā bedār duniyā meñ
jo ḳhvābīda haiñ ḳhud kyā ḳhvāb kī ta.abīr dekheñge
gudāz-e-ġham se haiñ tahlīl kī nau'iyyateñ lākhoñ
vo har aañsū meñ dil kī ik na.ī tasvīr dekheñge
hisāb-e-jurm-o-naqd-e-umar sab kahne kī bāteñ haiñ
kahāñ tak vo kisī kā daftar-e-taqsīr dekheñge
shikasta har kaḌī hai har kaḌī meñ dil ke TukḌe haiñ
baḌī ibrat se dīvāne mirī zanjīr dekheñge
wo jab rang-e-pareshani ko KHalwat-gir dekhenge
to apne har tasawwur mein meri taswir dekhenge
nazar jin ki asir-e-halqa-e-tadbir rahti hai
wo kya anjam-kar-e-wusa't-e-taqdir dekhenge
suna hai husn ko do-chand kar deta hai ye shisha
laga kar apne dil mein aap ki taswir dekhenge
jinhen hai uzr ek lafz-e-tamanna ki samaat se
wo ek din ja-ba-ja is lafz ki tafsir dekhenge
ma'al-e-ahl-e-ghaflat ho chuka bedar duniya mein
jo KHwabida hain KHud kya KHwab ki tabir dekhenge
gudaz-e-gham se hain tahlil ki nau'iyyaten lakhon
wo har aansu mein dil ki ek nai taswir dekhenge
hisab-e-jurm-o-naqd-e-umar sab kahne ki baaten hain
kahan tak wo kisi ka daftar-e-taqsir dekhenge
shikasta har kaDi hai har kaDi mein dil ke TukDe hain
baDi ibrat se diwane meri zanjir dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.