Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

wo jalwe jo hijab-e-naz se mahfil mein aate hain

Zaheen Shah Taji

wo jalwe jo hijab-e-naz se mahfil mein aate hain

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    vo jalve jo hijāb-e-nāz se mahfil meñ aate haiñ

    mere dil se nikalte haiñ ki mere dil meñ aate haiñ

    fanā pahlā adab hai shart-e-avval bazm-e-jānāñ meñ

    jo apne aap se guzreñ vo is mahfil meñ aate haiñ

    khulī āñkhoñ se 'ālam par gumān-e-’ālam-e-dil hai

    jab āñkheñ band kartā huuñ nazar vo dil meñ aate haiñ

    koī sāda-dilī-e-shquq ko ye baat samjhā de

    payām-e-husn hote haiñ jo armāñ dil meñ aate haiñ

    ḳhudī ke jauhar-e-āsānī meñ insāñ par nahīñ khulte

    ham apne sāmne khul kar faqat mushkil meñ aate haiñ

    'zahīn' allāh ko maiñ dekhtā huuñ husn-e-jānāñ meñ

    nazar ḳhurshīd ke jalve mah-e-kāmil meñ aate haiñ

    wo jalwe jo hijab-e-naz se mahfil mein aate hain

    mere dil se nikalte hain ki mere dil mein aate hain

    fana pahla adab hai shart-e-awwal bazm-e-jaanan mein

    jo apne aap se guzren wo is mahfil mein aate hain

    khuli aankhon se 'alam par guman-e-’alam-e-dil hai

    jab aankhen band karta hun nazar wo dil mein aate hain

    koi sada-dili-e-shquq ko ye baat samjha de

    payam-e-husn hote hain jo arman dil mein aate hain

    KHudi ke jauhar-e-asani mein insan par nahin khulte

    hum apne samne khul kar faqat mushkil mein aate hain

    'zahin' allah ko main dekhta hun husn-e-jaanan mein

    nazar KHurshid ke jalwe mah-e-kaamil mein aate hain

    Source :
    • Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 137)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now