wo kaun hai duniya mein jise gham nahin hota
vo kaun hai duniyā meñ jise ġham nahīñ hotā
kis ghar meñ ḳhushī hotī hai mātam nahīñ hotā
aise bhī haiñ duniyā meñ jinheñ ġham nahīñ hotā
ik ġham hai hamārā jo kabhī kam nahīñ hotā
tum jā ke chaman meñ gul-o-bulbul ko to dekho
kyā lutf tah-e-chādar shabnam nahīñ hotā
kyā surma bharī āñkhoñ se aañsū nahīñ girte
kyā mehñdī lage hāthoñ se mātam nahīñ hotā
uḌtī thī vo shai aatī thiiñ jannat kī havā.eñ
ab rindoñ kā jamghaT sar-e-zamzam nahīñ hotā
ye jaan ke kyuuñ ro.egā koi sar-e-turbat
sabze se judā qatra-e-shabnam nahīñ hotā
ye shān-e-gadā-e-dar-e-mai-ḳhāna hai saaqī
bhūle se vo bazm ke vo jam nahīñ hotā
māyūs-e-asar ashk-e-anā dil nahīñ hote
mānūs-e-asar giryā-e-shabnam nahīñ hotā
kuchh aur hotī haiñ bigaḌne kī adā.eñ
banñe meñ sañvarne meñ ye a.alam nahīñ hotā
taskīn to hojāye jo tū phuuT ke bah jaaye
ye tujh se bhī ai dīda-e-pur-nam nahīñ hotā
sabza mirī turbat kā rag-e-gul nahīñ bulbul
in āñsuoñ se tere to ye nam nahīñ hotā
miTte hue dekhī hai ajab husn kī tasvīr
ab koī mare mujh ko zarā ġham nahīñ hotā
vo bhī to miTe jān-e-jahāñ naam thā jin kā
ye nazm-e-jahāñ phir bhī to braham nahīñ hotā
kuchh bhī ho 'riyāz' aañkh meñ aate nahīñ aañsū
mujh ko to kisī baat kā ab ġham nahīñ hotā
wo kaun hai duniya mein jise gham nahin hota
kis ghar mein KHushi hoti hai matam nahin hota
aise bhi hain duniya mein jinhen gham nahin hota
ek gham hai hamara jo kabhi kam nahin hota
tum ja ke chaman mein gul-o-bulbul ko to dekho
kya lutf tah-e-chadar shabnam nahin hota
kya surma bhari aankhon se aansu nahin girte
kya mehndi lage hathon se matam nahin hota
uDti thi wo shai aati thin jannat ki hawaen
ab rindon ka jamghaT sar-e-zamzam nahin hota
ye jaan ke kyun roega koi sar-e-turbat
sabze se juda qatra-e-shabnam nahin hota
ye shan-e-gada-e-dar-e-mai-KHana hai saqi
bhule se wo bazm ke wo jam nahin hota
mayus-e-asar ashk-e-ana dil nahin hote
manus-e-asar girya-e-shabnam nahin hota
kuchh aur hoti hain bigaDne ki adaen
banne mein sanwarne mein ye aalam nahin hota
taskin to hojaye jo tu phuT ke bah jaye
ye tujh se bhi ai dida-e-pur-nam nahin hota
sabza meri turbat ka rag-e-gul nahin bulbul
in aansuon se tere to ye nam nahin hota
miTte hue dekhi hai ajab husn ki taswir
ab koi mare mujh ko zara gham nahin hota
wo bhi to miTe jaan-e-jahan nam tha jin ka
ye nazm-e-jahan phir bhi to braham nahin hota
kuchh bhi ho 'riyaz' aankh mein aate nahin aansu
mujh ko to kisi baat ka ab gham nahin hota
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 165)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.