wo nazren kya milin rahat ki duniya ho gai apni
vo nazreñ kyā milīñ rāhat kī duniyā ho ga.ī apnī
mai-e-mansūr apnī hai navā-e-sarmadī apnī
manā kar hī rahī us sañg-dil ko ḳhāmushī apnī
zabān-e-be-zabānī ne dikhā dī naġhmagī apnī
na chhoḌī shauq kī vāraftagī ne kaj-ravī apnī
jidhar manzil na thī vo raah manzil ban ga.ī apnī
bhalā vo aur ham par sarf karte barhamī apnī
nigāh-e-shauq kī gustāḳhiyoñ meñ chheḌ thī apnī
hijāb-e-ishq meñ ham ne haqīqat dekh lī apnī
na apnī maut apnī hai na apnī zindagī apnī
nazar-afzoī-e-sham-e-tajallī ai zahe-qismat
kahāñ bazm-e-jamāl un kī kahāñ parvāngī apnī
ḳhushī se vo hamārī har ḳhushī pāmāl kar Dāleñ
jahāñ tak hai ḳhushī un kī vahāñ tak hai ḳhushī apnī
ye ġham ye hichkiyāñ ye ashk-e-paiham chiiz hī kyā haiñ
bahut hī Thokareñ khilvā.egī dīvāngī apnī
ḳhudā rakkhe tujhe ai muskurā kar dekhne vaale
tire ka.aba ko ai zāhid yahīñ se bandagī apnī
dil-e-vahdat-numā ne manzar-e-kasrat badal Daalā
is ā.īna meñ sūrat hai vahī un kī vahī apnī
wo nazren kya milin rahat ki duniya ho gai apni
mai-e-mansur apni hai nawa-e-sarmadi apni
mana kar hi rahi us sang-dil ko KHamushi apni
zaban-e-be-zabani ne dikha di naghmagi apni
na chhoDi shauq ki waraftagi ne kaj-rawi apni
jidhar manzil na thi wo rah manzil ban gai apni
bhala wo aur hum par sarf karte barhami apni
nigah-e-shauq ki gustaKHiyon mein chheD thi apni
hijab-e-ishq mein hum ne haqiqat dekh li apni
na apni maut apni hai na apni zindagi apni
nazar-afzoi-e-sham-e-tajalli ai zahe-qismat
kahan bazm-e-jamal un ki kahan parwangi apni
KHushi se wo hamari har KHushi pamal kar Dalen
jahan tak hai KHushi un ki wahan tak hai KHushi apni
ye gham ye hichkiyan ye ashk-e-paiham chiz hi kya hain
bahut hi Thokaren khilwaegi diwangi apni
KHuda rakkhe tujhe ai muskura kar dekhne wale
tere kaba ko ai zahid yahin se bandagi apni
dil-e-wahdat-numa ne manzar-e-kasrat badal Dala
is aaina mein surat hai wahi un ki wahi apni
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 184)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.