wo āshnā-e-manzil-e-irfāñ huā nahīñ
vo āshnā-e-manzil-e-irfāñ huā nahīñ
jis ko tire karam kā sahārā milā nahīñ
dekhā bahut nigāh-e-talab ko milā nahīñ
tum se tum hī ho tum sā koī dūsrā nahīñ
jā.ūñ to uTh ke jā.ūñ kahāñ tere dar se maiñ
tere sivā kisī ko bhī dil māntā nahīñ
terā karam matā-e-do-ālam mire liye
terā karam rahe to do-ālam meñ kyā nahīñ
dast-e-talab baḌhe to mile phir karam kī bhiik
un kī atā ne ye bhī gavāra kiyā nahīñ
maiñ bhī faqīr-e-dar huuñ mujhe bhī navāz do
māyūs koī dar se tumhāre gayā nahīñ
takmīl bandagī na huī mujh se ai 'fanā'
jab tak dar-e-habīb pe sajda kiyā nahīñ
wo āshnā-e-manzil-e-irfāñ huā nahīñ
jis ko tere karam kā sahārā milā nahīñ
dekhā bahut nigāh-e-talab ko milā nahīñ
tum se tum hī ho tum sā koī dūsrā nahīñ
jāūñ to uTh ke jāūñ kahāñ tere dar se maiñ
tere siwā kisī ko bhī dil māntā nahīñ
terā karam matā-e-do-ālam mere liye
terā karam rahe to do-ālam meñ kyā nahīñ
dast-e-talab baḌhe to mile phir karam kī bhik
un kī atā ne ye bhī gawāra kiyā nahīñ
maiñ bhī faqīr-e-dar huñ mujhe bhī nawāz do
māyūs koī dar se tumhāre gayā nahīñ
takmīl bandagī na huī mujh se ai 'fanā'
jab tak dar-e-habīb pe sajda kiyā nahīñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.