ek hujum-e-nazar udhar jaye
ik hujūm-e-nazar udhar jaaye
jis taraf bhī tirī nazar jaaye
un kī chaukhaT hai aur merī jabīñ
kaash qismat mirī sañvar jaaye
har taraf tū hī tū hai jalva-gar
jis taraf bhī mirī nazar jaaye
maiñ rahūñ aur ḳhayāl-e-yār rahe
bas yuuñ hī zindagī guzar jaa.e
koī hamdam na hai koī sāthī
jaaye dīvāna to kidhar jaaye
uff vo sāda-ravish tirā paikar
kyuuñ na dīvāna tujh pe mar jaa.e
ghar meñ baiThe raho 'vajāhat' jī
ab koī kyā kisī ke ghar jaaye
ek hujum-e-nazar udhar jaye
jis taraf bhi teri nazar jaye
un ki chaukhaT hai aur meri jabin
kash qismat meri sanwar jaye
har taraf tu hi tu hai jalwa-gar
jis taraf bhi meri nazar jaye
main rahun aur KHayal-e-yar rahe
bas yun hi zindagi guzar jae
koi hamdam na hai koi sathi
jaye diwana to kidhar jaye
uff wo sada-rawish tera paikar
kyun na diwana tujh pe mar jae
ghar mein baiThe raho 'wajahat' ji
ab koi kya kisi ke ghar jaye
- Book : Nau-Ras (Pg. 46)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.