har shajar KHamida hai miT chuki samaat hai
har shajar ḳhamīda hai miT chukī samā.at hai
us nafī ke jañgal meñ ḳhushbū hī alāmat hai
be-amal haiñ bad-tar haiñ phir bhī jī rahe haiñ ham
ai ḳhudā tirī ham par kis qadar ināyat hai
chand ḳhushk tinkoñ kī kyā bisāt hotī hai
āshiyāñ kī ye raunaq barq kī badaulat hai
kaam aisā kar jaa.eñ mar ke bhī raheñ zinda
be-sabab to jiinā bhī sar-basar himāqat hai
apnī zaat se haT kar bhī kabhī kabhī dekheñ
auroñ ke liye jiinā ik baḌī sa.ādat hai
yaad jab bhī vo aa.eñ ḳhud ko bhūltā jā۔ūñ
haañ magar unheñ mujh se ishq hai na raġhbat hai
Daal dī haiñ buniyādeñ har jagah nasheman kī
ham meñ azm se baḌh kar sarvat-o-’vajāhat’ hai
har shajar KHamida hai miT chuki samaat hai
us nafi ke jangal mein KHushbu hi alamat hai
be-amal hain bad-tar hain phir bhi ji rahe hain hum
ai KHuda teri hum par kis qadar inayat hai
chand KHushk tinkon ki kya bisat hoti hai
aashiyan ki ye raunaq barq ki badaulat hai
kaam aisa kar jaen mar ke bhi rahen zinda
be-sabab to jina bhi sar-basar himaqat hai
apni zat se haT kar bhi kabhi kabhi dekhen
auron ke liye jina ek baDi saadat hai
yaad jab bhi wo aaen KHud ko bhulta ja۔un
han magar unhen mujh se ishq hai na raghbat hai
Dal di hain buniyaaden har jagah nasheman ki
hum mein azm se baDh kar sarwat-o-’wajahat’ hai
- Book : Nau-Ras (Pg. 77)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.