nazar be-nur hai dil be-zaban hai
nazar be-nūr hai dil be-zabāñ hai
ujālā zulmat-e-shab meñ nihāñ hai
ye kaisī āzmā.ish hai ḳhudāyā
mire dil kā ye kaisā imtihāñ hai
na jaane kis ghaḌī uThe vo tūfāñ
jo mere chashm-o-dil ke darmiyāñ hai
Darā ai gardish-e-daurāñ na mujh ko
ki merā hausla ab bhī javāñ hai
musalsal baḌh rahī hai be-qarārī
tū ai vaj.h-e-sukūn-e-dil kahāñ hai
mire hālāt kyā pūchho ho mujh se
mire chehre se sab kuchh to ayaañ hai
karūñ tausīf us kī kaise 'dā.em'
vo apne aap meñ ik āsmāñ hai
nazar be-nur hai dil be-zaban hai
ujala zulmat-e-shab mein nihan hai
ye kaisi aazmaish hai KHudaya
mere dil ka ye kaisa imtihan hai
na jaane kis ghaDi uThe wo tufan
jo mere chashm-o-dil ke darmiyan hai
Dara ai gardish-e-dauran na mujh ko
ki mera hausla ab bhi jawan hai
musalsal baDh rahi hai be-qarari
tu ai wajh-e-sukun-e-dil kahan hai
mere haalat kya puchho ho mujh se
mere chehre se sab kuchh to ayan hai
karun tausif us ki kaise 'daem'
wo apne aap mein ek aasman hai
- Book : Nau-Ras (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.