uski yaadon ko bhala dil se bhulaen kaise
us kī yādoñ ko bhalā dil se bhulā.eñ kaise
aag jab dil meñ lagī ho to bujhā.eñ kaise
dil ke ā.īne meñ tasvīr basī hai un kī
naqsh kuchh aise jame haiñ ki miTā.eñ kaise
yuuñ to zāhir ki bahut ġham haiñ hameñ duniyā ke
daaġh siine meñ jo pinhāñ haiñ dikhā.eñ kaise
āshiyāñ kaise bane bikhre hue tinkoñ kā
dil jo TuuTā huā ghar ho to basā.eñ kaise
in ke aane kī ḳhabar sunte haiñ ik muddat se
haañ baġhair un ke magar bazm sajā.eñ kaise
dil ke ā.īne meñ hai us kā tasavvur 'dā.em'
ruuTh ke baiThā ho jo us ko manā.eñ kaise
us ki yaadon ko bhala dil se bhulaen kaise
aag jab dil mein lagi ho to bujhaen kaise
dil ke aaine mein taswir basi hai un ki
naqsh kuchh aise jame hain ki miTaen kaise
yun to zahir ki bahut gham hain hamein duniya ke
dagh sine mein jo pinhan hain dikhaen kaise
aashiyan kaise bane bikhre hue tinkon ka
dil jo TuTa hua ghar ho to basaen kaise
in ke aane kī KHabar sunte hain ek muddat se
han baghair un ke magar bazm sajaen kaise
dil ke aaine mein hai us kā tasawwur 'daem'
ruTh ke baiTha ho jo us ko manaen kaise
- Book : Nau-Ras (Pg. 124)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.