teri tanhai mein maujudgi mahsus karata hun
tirī tanhā.ī meñ maujūdgī mahsūs karatā huuñ
ḳhizāñ meñ rah ke bhī ab tāzgī mahsūs karatā huuñ
ḳhudā kī ’azmatoñ kā mo'tarif huuñ sajde karatā huuñ
jabīn-e-shauq meñ raḳhshandagī mahsūs karatā huuñ
nahīñ miltā to us kī yaad meñ rahtā hai dil be-chain
malūñ jab us se to ik tāzgī mahsūs karatā huuñ
ba-zāhir us ko jaise ḳhud-numā.ī achchhī lagtī hai
qarīb aao to us meñ sādgī mahsūs karatā huuñ
ḳhafā rah kar bhī jab vo muskurā kar dekh letā hai
maiñ apne aap meñ ik zindagī mahsūs karatā huuñ
ḳhudā ke sāmne jab bhī maiñ sajda-rez hotā huuñ
to apne dil meñ ik pākīzgī mahsūs karatā huuñ
ye merā tajraba har moḌ par yuuñ kaam aatā hai
maiñ apne faisloñ meñ puḳhtagī mahsūs karatā huuñ
na vo josh-o-junūñ hai aur na kuchh īsār kā jazba
javāñ nasloñ meñ ik pazhmurdagī mahsūs karatā huuñ
juḌā hai jab se merā naam mohr-e-naqshbandī se
maiñ dil meñ ik ajab āsūdgī mahsūs karatā huuñ
‘vajāhat’ maiñ niyāzī huuñ mujhe kyā fikr duniyā kī
har ik zarre meñ sharf-e-bandadī mahsūs karatā huuñ
teri tanhai mein maujudgi mahsus karata hun
KHizan mein rah ke bhi ab tazgi mahsus karata hun
KHuda ki ’azmaton ka mo'tarif hun sajde karata hun
jabin-e-shauq mein raKHshandagi mahsus karata hun
nahin milta to us ki yaad mein rahta hai dil be-chain
malun jab us se to ek tazgi mahsus karata hun
ba-zahir us ko jaise KHud-numai achchhi lagti hai
qarib aao to us mein sadgi mahsus karata hun
KHafa rah kar bhi jab wo muskura kar dekh leta hai
main apne aap mein ek zindagi mahsus karata hun
KHuda ke samne jab bhi main sajda-rez hota hun
to apne dil mein ek pakizgi mahsus karata hun
ye mera tajraba har moD par yun kaam aata hai
main apne faislon mein puKHtagi mahsus karata hun
na wo josh-o-junun hai aur na kuchh isar ka jazba
jawan naslon mein ek pazhmurdagi mahsus karata hun
juDa hai jab se mera nam mohr-e-naqshbandi se
main dil mein ek ajab aasudgi mahsus karata hun
‘wajahat’ main niyazi hun mujhe kya fikr duniya ki
har ek zarre mein sharf-e-bandadi mahsus karata hun
- Book : Nau-Ras (Pg. 159)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.