hai aks-e-dagh dil ka mere mahtab mein
hai 'aks-e-dāġh dil kā mere māhtāb meñ
ye mere soz kī hai tapish āftāb meñ
ham raat dekh zulf-e-pareshāñ ko ḳhvāb meñ
samjhe ki din kaTegā mirā iztirāb meñ
abrū-e-yār matla-e’-avval hai jis ko dekh
matl.a kahe haiñ yāroñ ne us ke javāb meñ
ḳhūn-e-dil aur laḳht-e-jigar meñ hai jo mazā
vo zā.iqa kahāñ hai sharāb-o-kabāb meñ
uljhāv dil kā zulfoñ meñ jī kā vabāl thā
yā-rab phañsā ke dil ko paḌe kis 'azāb meñ
be-tere zulf-o-ruḳh ke 'vasī' kī hai ye ma.āsh
guzre hai din 'azāb meñ shab-e-iztirāb meñ
hai 'aks-e-dagh dil ka mere mahtab mein
ye mere soz ki hai tapish aaftab mein
hum raat dekh zulf-e-pareshan ko KHwab mein
samjhe ki din kaTega mera iztirab mein
abru-e-yar matla-e’-awwal hai jis ko dekh
matla kahe hain yaron ne us ke jawab mein
KHun-e-dil aur laKHt-e-jigar mein hai jo maza
wo zaiqa kahan hai sharab-o-kabab mein
uljhaw dil ka zulfon mein ji ka wabaal tha
ya-rab phansa ke dil ko paDe kis 'azab mein
be-tere zulf-o-ruKH ke 'wasi' ki hai ye maash
guzre hai din 'azab mein shab-e-iztirab mein
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.