ya rab us gul se sada dast-e-KHizan dur rahe
yā rab us gul se sadā dast-e-ḳhizāñ duur rahe
rañg-o-bū-e-chaman-e-husn ba-dastūr rahe
zaḳhm-e-dil taaza hai aur dast-e-junūñ hai chālāk
kis tarah us meñ lagā marham-e-kāfūr rahe
dard-kash maiñ bhī huuñ ek jaam mile pīr-e-muġhāñ
faiz se tere sadā mai-kada ma.amūr rahe
mohtasib haif hai is sañg-dilī par terī
kab talak shīsha-e-mai jām-o-subū chuur rahe
sāqiyā terī ye majlis rahe ābād sadā
koī sarshār rahe aur koī maḳhmūr rahe
kis qadar raat rahā dard-e-jigar kulfat-e-ġham
chāñdnī raat thī par sair se majbūr rahe
dāġh-e-dil sham.a-namat siina meñ raushan hī rahe
qabr bhī merī isī daaġh se pur-nūr rahe
ḳhaak meñ bhī na milā chain tere dil ko 'vasī'
be-qarārāna jo tum tā-ba-lab-e-gor rahe
ya rab us gul se sada dast-e-KHizan dur rahe
rang-o-bu-e-chaman-e-husn ba-dastur rahe
zaKHm-e-dil taza hai aur dast-e-junun hai chaalak
kis tarah us mein laga marham-e-kafur rahe
dard-kash main bhi hun ek jam mile pir-e-mughan
faiz se tere sada mai-kada mamur rahe
mohtasib haif hai is sang-dili par teri
kab talak shisha-e-mai jam-o-subu chur rahe
saqiya teri ye majlis rahe aabaad sada
koi sarshaar rahe aur koi maKHmur rahe
kis qadar raat raha dard-e-jigar kulfat-e-gham
chandni raat thi par sair se majbur rahe
dagh-e-dil shama-namat sina mein raushan hi rahe
qabr bhi meri isi dagh se pur-nur rahe
KHak mein bhi na mila chain tere dil ko 'wasi'
be-qararana jo tum ta-ba-lab-e-gor rahe
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.