har insan yahi kahta hai dekho to ab kya hota hai
har insān yahī kahtā hai dekho to ab kyā hotā hai
raste meñ dīvār khaḌī hai itnā to sab ko dikhtā hai
chāroñ-samt añdherā phailā aise meñ kyā rasta sūjhe
parbat sar par TuuT rahe haiñ paañv meñ dariyā bahtā hai
merī sundartā ke gahne chhīn ke vo kahtā hai mujh se
vo insān bahut achchhā hai jo har-hāl meñ ḳhush rahtā hai
ik chehre se pyaar karūñ maiñ ik se ḳhauf lage hai mujh ko
ik chehra ik ā.īna hai ik chehra patthar lagtā hai
maiñ taqdīr zamāne-bhar kī har insān muqaddar terā
jurm kisī kā chalte chalte mere hī sar aa paḌtā hai
kitne jalvoñ se guzrā huuñ kitne manzar dekhe maiñ ne
ab bhī aañkh se ojhal hai vo jo mere dil meñ rahtā hai
dhuup aur chhāñv se bantā hai hastī kā afsāna 'vāsif'
baḌh jaate haiñ vahm ke saa.e azm kā sūraj jab Dhaltā hai
har insan yahi kahta hai dekho to ab kya hota hai
raste mein diwar khaDi hai itna to sab ko dikhta hai
chaaron-samt andhera phaila aise mein kya rasta sujhe
parbat sar par TuT rahe hain panw mein dariya bahta hai
meri sundarta ke gahne chhin ke wo kahta hai mujh se
wo insan bahut achchha hai jo har-haal mein KHush rahta hai
ek chehre se pyar karun main ek se KHauf lage hai mujh ko
ek chehra ek aaina hai ek chehra patthar lagta hai
main taqdir zamane-bhar ki har insan muqaddar tera
jurm kisi ka chalte chalte mere hi sar aa paDta hai
kitne jalwon se guzra hun kitne manzar dekhe main ne
ab bhi aankh se ojhal hai wo jo mere dil mein rahta hai
dhup aur chhanw se banta hai hasti ka afsana 'wasif'
baDh jate hain wahm ke sae azm ka suraj jab Dhalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.