wahi surat wahi KHud aaina hai
vahī sūrat vahī ḳhud ā.īna hai
nazar yaañ diid meñ hairat-zada hai
milā jis ko kisī gul kā patā hai
vahī is baaġh meñ phūlā phalā hai
tafāvut kahiye in donoñ meñ kyā hai
ḳhudā dariyā hai aadam bulbulā hai
kahāñ marte haiñ marne vaale haq par
jahāñ jiine pe haañ jī de rahā hai
kyā jo chāh-e-duniyā se kināra
vahī ’āmil haiñ durr-e-be-bahā hai
visāl-e-jān-e-jāñ hai jān-e-jānāñ
koī kyā jān-e-jānāñ jāntā hai
ḳhudā kahte haiñ jis ko hai muammā
na ham se muttasil hai ne judā hai
ye sab bāteñ haiñ sunte haiñ va-lekin
na yaañ banda hai koī ne ḳhudā hai
koī ā.īna-rū ā.īna ban kar
muqābil apne ik sūrat huā hai
jahāñ kahtā hai jis ko lā-ta’ayyunn
'vatan' merī vahī rahne kī jā hai
wahi surat wahi KHud aaina hai
nazar yan did mein hairat-zada hai
mila jis ko kisi gul ka pata hai
wahi is bagh mein phula phala hai
tafawut kahiye in donon mein kya hai
KHuda dariya hai aadam bulbula hai
kahan marte hain marne wale haq par
jahan jine pe han ji de raha hai
kya jo chah-e-duniya se kinara
wahi ’amil hain durr-e-be-baha hai
visal-e-jaan-e-jaan hai jaan-e-jaanan
koi kya jaan-e-jaanan jaanta hai
KHuda kahte hain jis ko hai muamma
na hum se muttasil hai ne juda hai
ye sab baaten hain sunte hain wa-lekin
na yan banda hai koi ne KHuda hai
koi aaina-ru aaina ban kar
muqabil apne ek surat hua hai
jahan kahta hai jis ko la-ta’ayyunn
'watan' meri wahi rahne ki ja hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.