yahi hai agar jaan khona hamara
yahī hai agar jaan khonā hamārā
barābar hai honā na honā hamārā
barastā to hai dekh ai abr-e-rahmat
koī dāġh-e-hasrat na dhonā hamārā
tire ghar meñ is darja chhup chhup ke ro.e
ki shāhid hai ek ek ko ronā hamārā
sarāpā hai baḳht-e-be-dār āḳhir
bahut kaam aayā na sonā hamārā
gire ḳhaak pur ashk to ham ye samjhe
samar lā.egā biij bonā hamārā
ḳhabar kyā thī kuchh aur tūfāñ hogā
hamīñ ko Dubo.egā ronā hamārā
ye jo pasliyoñ ke nishāñ haiñ zamīñ par
yahī boriyā hai bichhaunā hamārā
chale 'benazīr' aap vo justujū ko
mubārak ho ham ko khonā hamārā
yahi hai agar jaan khona hamara
barabar hai hona na hona hamara
barasta to hai dekh ai abr-e-rahmat
koi dagh-e-hasrat na dhona hamara
tere ghar mein is darja chhup chhup ke roe
ki shahid hai ek ek ko rona hamara
sarapa hai baKHt-e-be-dar aaKHir
bahut kaam aaya na sona hamara
gire KHak pur ashk to hum ye samjhe
samar laega bij bona hamara
KHabar kya thi kuchh aur tufan hoga
hamin ko Duboega rona hamara
ye jo pasliyon ke nishan hain zamin par
yahī boriya hai bichhauna hamara
chale 'benazir' aap wo justuju ko
mubarak ho hum ko khona hamara
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 53)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.