yahī jo sauda hai mujh hazin ka pata kahan ku-e-naznin ka
yahī jo saudā hai mujh hazīñ kā patā kahāñ kū-e-nāznīñ kā
ġhubār-āsā nahīñ kahīñ kā na āsmāñ kā na maiñ zamīñ kā
baḌhe sulaimāñ ke jitne rutbe tumhārī ulfat ke the karishme
ye naqsh jis dil meñ jam ke baiThe buland ho naam us nagīñ kā
kahāñ kā naala kahāñ kā shevan sunā.e qātil hai vaqt-e-murdan
qalam huī hai badan se gardan zabāñ pe na.ara hai āfrīñ kā
qarīb hai yaaro roz-e-mahshar chhupegā kushtoñ kā qatl kyūñkar
jo chup rahegī zabān-e-ḳhanjar lahū pukāregā āstīñ kā
ajab muraqqa.a hai bāġh-e-duniyā ki jis kā sān.e.a nahīñ huvaidā
hazār-hā sūrateñ haiñ paidā patā nahīñ sūrat-āfrīñ kā
ḳhudā se jab tak na ho shanāsā harīm-e-dil kā hai shauq be-jā
makān kā tab patā milegā ki kuchh patā yaad ho makīñ kā
kis āstāne pe jā paḌā huuñ kahāñ ilāhī maiñ jibah-sā huuñ
ki sar na uTThe hazār chāhūñ ye rabt hai sajda-o-zamīñ kā
kahāñ kā ka.aba hai dair kaisā batāo kūche kā us ke rastā
maiñ pūchhtā huuñ patā kahīñ kā nishān dete ho tum kahīñ kā
yahī jo sauda hai mujh hazin ka pata kahan ku-e-naznin ka
ghubar-asa nahin kahin ka na aasman ka na main zamin ka
baDhe sulaiman ke jitne rutbe tumhaari ulfat ke the karishme
ye naqsh jis dil mein jam ke baiThe buland ho nam us nagin ka
kahan ka nala kahan ka shewan sunae qatil hai waqt-e-murdan
qalam hui hai badan se gardan zaban pe nara hai aafrin ka
qarib hai yaro roz-e-mahshar chhupega kushton ka qatl kyunkar
jo chup rahegi zaban-e-KHanjar lahu pukarega aastin ka
ajab muraqqa hai bagh-e-duniya ki jis ka sanea nahin huwaida
hazar-ha suraten hain paida pata nahin surat-afrin ka
KHuda se jab tak na ho shanasa harim-e-dil ka hai shauq be-ja
makan ka tab pata milega ki kuchh pata yaad ho makin ka
kis aastane pe ja paDa hun kahan ilahi main jibah-sa hun
ki sar na uTThe hazar chahun ye rabt hai sajda-o-zamin ka
kahan ka kaba hai dair kaisa batao kuche ka us ke rasta
main puchhta hun pata kahin ka nishan dete ho tum kahin ka
- Book : Kalam-e-Ameer Minayee (Pg. 30)
- Author : Ameer Minayee
- Publication : Mashwara Book Dopt. Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.