yahi ab faisla-e-jang-ju hai
yahī ab faisla-e-jang-jū hai
terā ḳhanjar hai aur merā gulū hai
hue haiñ ghar se be-ghar is junūñ meñ
makīn-e-lā-makāñ kī justujū hai
ayaañ har rañg meñ hai terā jalva
basī har gul meñ jānāñ terī bū hai
namāz apnī hai bas terā tasavvur
tumhāre vāste ronā vuzū hai
shah-e-'vāris' kā jalva dekh kar ham
kahe 'aughat' na kyūñkar tū hī tū hai
yahi ab faisla-e-jang-ju hai
tera KHanjar hai aur mera gulu hai
hue hain ghar se be-ghar is junun mein
makin-e-la-makan ki justuju hai
ayan har rang mein hai tera jalwa
basi har gul mein jaanan teri bu hai
namaz apni hai bas tera tasawwur
tumhaare waste rona wuzu hai
shah-e-'waris' ka jalwa dekh kar hum
kahe 'aughat' na kyunkar tu hi tu hai
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 24)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.