yaksan hai mera dil haram-o-dair mein KHursand
yaksāñ hai mirā dil haram-o-dair meñ ḳhursand
ḳhud apnā hī banda huuñ maiñ ḳhud apnā ḳhudāvand
haañ chheḌ de mutrib mirī hastī kā tarāna
maiñ husn kā markaz huuñ dil-e-ishq kī saugand
vo ishq nahīñ huuñ ki ho aahoñ meñ muqayyad
vo husn nahīñ huuñ ki ho jalvoñ meñ nazar-band
huuñ lāla-e-sahrā kī tarah ḳhānumāñ bar-dosh
vo sarv nahīñ jo kisī gulshan kā ho pāband
behosh ke hushiyār huuñ be-jām ke sarshār
be-hijr ke ġhamgīn huuñ be-vasl ke ḳhursand
jis manzil-e-ā.alī meñ par-afshāñ huuñ maiñ is jā
duniyā hai na uqbā hai na banda na ḳhudāvand
kyā daḳhl hai zāhid kā mere dil ke haram meñ
ye qasr nahīñ jannat-e-firdaus ke mānand
āzād hai kaunain se vo mard-e-qalandar
'maikash' ko na de tāj-e-bukHārā-o-samarqand
yaksan hai mera dil haram-o-dair mein KHursand
KHud apna hi banda hun main KHud apna KHudawand
han chheD de mutrib meri hasti ka tarana
main husn ka markaz hun dil-e-ishq ki saugand
wo ishq nahin hun ki ho aahon mein muqayyad
wo husn nahin hun ki ho jalwon mein nazar-band
hun lala-e-sahra ki tarah KHanuman bar-dosh
wo sarw nahin jo kisi gulshan ka ho paband
behosh ke hushiyar hun be-jam ke sarshaar
be-hijr ke ghamgin hun be-wasl ke KHursand
jis manzil-e-aali mein par-afshan hun main is ja
duniya hai na uqba hai na banda na KHudawand
kya daKHl hai zahid ka mere dil ke haram mein
ye qasr nahin jannat-e-firdaus ke manand
aazad hai kaunain se wo mard-e-qalandar
'maikash' ko na de taj-e-bukHara-o-samarqand
- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 163)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.