Sufinama

ye bhī koī waza aane kī hai jo aate ho tum

Meer Muhammad Bedar

ye bhī koī waza aane kī hai jo aate ho tum

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    ye bhī koī vaz.a aane hai jo aate ho tum

    ek dam aa.e nahīñ guzrā ki phir jaate ho tum

    duur se yuuñ to koī jhamkī dikhā jaate ho tum

    par jo chāhūñ ye ki paas aao kahāñ aate ho tum

    kahiye mujh se to bhalā itnā ki kuchh maiñ bhī sunūñ

    banda-parvar kis ke haañ tashrīf farmāte ho tum

    us parī-sūrat balā-añgez ko dekhā nahīñ

    nāseho ma.azūr ho gar mujh ko samjhāte ho tum

    dekhiye ḳhirman pe ye barq-e-balā kis ke paḌe

    be-tarah kuchh tevarī badle chale aate ho tum

    jo koī banda ho apnā is se phir kyā hai hijāb

    maiñ to is laa.eq nahīñ jo mujh se sharmāte ho tum

    aaj ye go aur ye maidāñ unheñ kah dījiye

    dekh luuñ jin ke bharose mujh ko dhamkāte ho tum

    phir na āveñge kabhī aisī gar āzurda ho

    bas chale ham ḳhush raho kaahe ko jhuñjlāte ho tum

    hālat-e-'bedār' ab kyā kījiye aap aage bayāñ

    vaqt hai ab bhī agar tashrīf farmāte ho tum

    ye bhī koī waza aane hai jo aate ho tum

    ek dam aae nahīñ guzrā ki phir jate ho tum

    dur se yuñ to koī jhamkī dikhā jate ho tum

    par jo chāhūñ ye ki pas aao kahāñ aate ho tum

    kahiye mujh se to bhalā itnā ki kuchh maiñ bhī sunūñ

    banda-parwar kis ke hañ tashrīf farmāte ho tum

    us parī-sūrat balā-añgez ko dekhā nahīñ

    nāseho mazūr ho gar mujh ko samjhāte ho tum

    dekhiye ḳhirman pe ye barq-e-balā kis ke paḌe

    be-tarah kuchh tewarī badle chale aate ho tum

    jo koī banda ho apnā is se phir kyā hai hijāb

    maiñ to is laeq nahīñ jo mujh se sharmāte ho tum

    aaj ye go aur ye maidāñ unheñ kah dījiye

    dekh luñ jin ke bharose mujh ko dhamkāte ho tum

    phir na āweñge kabhī aisī gar āzurda ho

    bas chale hum ḳhush raho kahe ko jhuñjlāte ho tum

    hālat-e-'bedār' ab kyā kījiye aap aage bayāñ

    waqt hai ab bhī agar tashrīf farmāte ho tum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now