Sufinama

ye hum par lutf kaisa ye karam kya

Aziz Warsi Dehlvi

ye hum par lutf kaisa ye karam kya

Aziz Warsi Dehlvi

MORE BYAziz Warsi Dehlvi

    ye ham par lutf kaisā ye karam kyā

    badal Daale haiñ andāz-e-sitam kyā

    zamāna hech hai apnī nazar meñ

    zamāne ḳhushī kyā aur ġham kyā

    jab is mahfil ko ham kahte haiñ apnā

    phir is mahfil meñ fikr-e-besh-o-kam kyā

    nazar aatī hai duniyā ḳhūbsūrat

    mire sāġhar ke aage jām-o-jam kyā

    jabīñ hai be-niyāz-e-kufr-o-īmāñ

    dar-e-but-ḳhāna kyā sahan-e-haram kyā

    tirī chashm-e-karam ho jis jānib

    use phir imtiyāz-e-besh-o-kam kyā

    mire māh-e-munavvar tere aage

    charāġh-e-dair kyā sham-e-haram kyā

    nigāh-e-nāz ke do sho.abde haiñ

    'azīz' apnā vajūd apnā adam kyā

    ye hum par lutf kaisa ye karam kya

    badal Dale hain andaz-e-sitam kya

    zamana hech hai apni nazar mein

    zamane ki KHushi kya aur gham kya

    jab is mahfil ko hum kahte hain apna

    phir is mahfil mein fikr-e-besh-o-kam kya

    nazar aati hai duniya KHubsurat

    mere saghar ke aage jam-o-jam kya

    jabin hai be-niyaz-e-kufr-o-iman

    dar-e-but-KHana kya sahan-e-haram kya

    teri chashm-e-karam ho jis ki jaanib

    use phir imtiyaz-e-besh-o-kam kya

    mere mah-e-munawwar tere aage

    charagh-e-dair kya sham-e-haram kya

    nigah-e-naz ke do shoabde hain

    'aziz' apna wajud apna adam kya

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 34)
    • Author : Azeez Warsi
    • Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now