ye KHub-ru na chhuri ne kaTar rakhte hain
ye KHub-ru na chhuri ne kaTar rakhte hain
Ehsanullah Khan Bayan
MORE BYEhsanullah Khan Bayan
ye ḳhūb-rū na chhurī ne kaTār rakhte haiñ
nigāh-e-lutf se aalam ko maar rakhte haiñ
charāġh-e-gor na sham-e-mazār rakhte haiñ
bas ek ham ye dil-e-dāġhdār rakhte haiñ
sharāb-e-ishq na ai dost pījiyo hargiz
isī nashe kā ham ab tak ḳhumār rakhte haiñ
mirī zabānī koī us se is qadar pūchhe
kahīñ ye jhūTe bhī va.ade shumār rakhte haiñ
qayāmat aa chukī dīdār-e-haq huā sab ko
ham ab talak bhī tirā intizār rakhte haiñ
agarche ḳhaak barābar kiyā falak ne 'bayāñ'
dimāġh par vahī ham ḳhāksār rakhte haiñ
ye KHub-ru na chhuri ne kaTar rakhte hain
nigah-e-lutf se aalam ko mar rakhte hain
charagh-e-gor na sham-e-mazar rakhte hain
bas ek hum ye dil-e-daghdar rakhte hain
sharab-e-ishq na ai dost pijiyo hargiz
isi nashe ka hum ab tak KHumar rakhte hain
meri zabani koi us se is qadar puchhe
kahin ye jhuTe bhi wade shumar rakhte hain
qayamat aa chuki didar-e-haq hua sab ko
hum ab talak bhi tera intizar rakhte hain
agarche KHak barabar kiya falak ne 'bayan'
dimagh par wahi hum KHaksar rakhte hain
- Book : Diwan-e-Bayan Edited: Arjumand Ara (Pg. 108)
- Author : Ahsanullaah Khan Bayan
- Publication : Anjumat Taraqqi Urdu (Hind) New Delhi (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.