ye jahan tujhko faqat-e-wahm-o-guman lagta hai
ye jahāñ tujh ko faqat-e-vahm-o-gumāñ lagtā hai
mujh ko har zarra yahāñ ek jahāñ lagtā hai
pech-o-ḳham raah kā rakhtā hai pareshān tujhe
mujh ko ye bhī ḳham-e-gesū-e-butāñ lagtā hai
raah kā sañg hai ik sañg-e-garāñ tere liye
mujh ko ye sañg bhī manzil kā nishāñ lagtā hai
merī nazroñ meñ hai ye abr-e-bahārī kā safīr
tujh ko chhāyā huā gulshan pe dhuāñ lagtā hai
chaal se un kī chamak uThtā hai rāhoñ kā ġhubār
mujh ko har rasta yahāñ kāhkashāñ lagtā hai
aur kuchh dam mirī āġhosh meñ ai 'aks-e-shafaq
tū mujhe nāma-bar lāla-rukHāñ lagtā hai
ye jahan tujh ko faqat-e-wahm-o-guman lagta hai
mujh ko har zarra yahan ek jahan lagta hai
pech-o-KHam rah ka rakhta hai pareshan tujhe
mujh ko ye bhi KHam-e-gesu-e-butan lagta hai
rah ka sang hai ek sang-e-garan tere liye
mujh ko ye sang bhi manzil ka nishan lagta hai
meri nazron mein hai ye abr-e-bahaari ka safir
tujh ko chhaya hua gulshan pe dhuan lagta hai
chaal se un ki chamak uThta hai rahon ka ghubar
mujh ko har rasta yahan kahkashan lagta hai
aur kuchh dam meri aaghosh mein ai 'aks-e-shafaq
tu mujhe nama-bar lala-rukHan lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.