ye jo laga hai tir mujhe ai kaman-e-ishq
ye jo lagā hai tiir mujhe ai kamān-e-ishq
mahshar meñ dekhiyo yahī hogā nishān-e-ishq
sur khīñche aah ḳhaak se merī jo misl-e-nai
hai kyā ajab ki huuñ maiñ shahīd-e-sinān-e-’ishq
maqdūr kyā jo kah sakūñ kuchh ramz-e-ishq ko
juuñ sham.a huuñ agarche sarāpā zabān-e-ishq
parvez ne miTāne meñ taqsīr to na kī
rah ga.ī zabān-e-tesha pe ye dāstān-e-’ishq
dil khone par jo rote ho ai hamdamo ’abas
Tuk aañkh khol dekho ki jaatā hai jān-e-’ishq
ye jo laga hai tir mujhe ai kaman-e-ishq
mahshar mein dekhiyo yahi hoga nishan-e-ishq
sur khinche aah KHak se meri jo misl-e-nai
hai kya ajab ki hun main shahid-e-sinan-e-’ishq
maqdur kya jo kah sakun kuchh ramz-e-ishq ko
jun shama hun agarche sarapa zaban-e-ishq
parwez ne miTane mein taqsir to na ki
rah gai zaban-e-tesha pe ye dastan-e-’ishq
dil khone par jo rote ho ai hamdamo ’abas
Tuk aankh khol dekho ki jata hai jaan-e-’ishq
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 129)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.