ye kaise baal hain bikhre ye surat kyun bani gham ki
ye kaise baal haiñ bikhre ye sūrat kyuuñ banī ġham kī
tumhār dushmanoñ ko kyā paḌī hai mere mātam kī
ḳhudā jaane tumheñ bhī rahm aatā hai ġharīboñ par
yahāñ to aah ko mohlat nahīñ miltī koī dam kī
kahāñ jaanā hai tham-tham ko chalo aisī hī kyā jaldī
ḳhudā rakhe tumheñ tum ho nazar paḌtī hai 'ālam kī
maza us meñ hī aatā hai namak chiḌko namak chiḌko
qasam le lo nahīñ 'ādat mire zaḳhmoñ ko marham kī
na miliyegā na miliyegā to kuchh ham mar na jā.eñge
ḳhudā kā shukr hai pahle mohabbat aap ne kam kī
shikāyat kis se kījiye haaye kyā ulTā zamāna hai
baḌhāyā pyaar jab ham ne mohabbat aap ne kam kī
koī ā.īna aisā ho ki jis meñ tū nazar aa.e
zamāne bhar kā jhūTā kyā haqīqat sāġhar-e-jam kī
ghaTā.eñ dekh kar be-tāb hai bechain hai 'shā.ir'
tire qurbān ai mutrib sunā de koī mausam kī
ye kaise baal hain bikhre ye surat kyun bani gham ki
tumhaar dushmanon ko kya paDi hai mere matam ki
KHuda jaane tumhein bhi rahm aata hai gharibon par
yahan to aah ko mohlat nahin milti koi dam ki
kahan jaana hai tham-tham ko chalo aisi hi kya jaldi
KHuda rakhe tumhein tum ho nazar paDti hai 'alam ki
maza us mein hi aata hai namak chiDko namak chiDko
qasam le lo nahin 'adat mere zaKHmon ko marham ki
na miliyega na miliyega to kuchh hum mar na jaenge
KHuda ka shukr hai pahle mohabbat aap ne kam ki
shikayat kis se kijiye haye kya ulTa zamana hai
baDhaya pyar jab hum ne mohabbat aap ne kam ki
koi aaina aisa ho ki jis mein tu nazar aae
zamane bhar ka jhuTa kya haqiqat saghar-e-jam ki
ghaTaen dekh kar be-tab hai bechain hai 'shair'
tere qurban ai mutrib suna de koi mausam ki
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.