ye karishma zara nahin hota
Interesting Fact
مومن خان مومن کی غزل پر تضمین
ye karishma zarā nahīñ hotā
rañj rāhat-fazā nahīñ hotā
ham ko hāsil vo mudda.ā na huā
varna duniyā meñ kyā nahīñ hotā
aah pahuñche janāb meñ us kī
tujh se ye ai du'ā nahīñ hotā
tū numāyāñ tabhī to hotā hai
jab koī dūsrā nahīñ hotā
'ishq meñ nok-jhok lāzim hai
jañg bin kuchh mazā nahīñ hotā
gar kisī zulf kā asiir hai to
dil kisī kaam kā nahīñ hotā
kyuuñ 'asar' kī murād bar aave
sanam āḳhir ḳhudā nahīñ hotā
ye karishma zara nahin hota
ranj rahat-faza nahin hota
hum ko hasil wo muddaa na hua
warna duniya mein kya nahin hota
aah pahunche janab mein us ki
tujh se ye ai du'a nahin hota
tu numayan tabhi to hota hai
jab koi dusra nahin hota
'ishq mein nok-jhok lazim hai
jang bin kuchh maza nahin hota
gar kisi zulf ka asir hai to
dil kisi kaam ka nahin hota
kyun 'asar' ki murad bar aawe
sanam aaKHir KHuda nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.