Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye mana zindagi mein gham bahut hain

Maikash Akbarabadi

ye mana zindagi mein gham bahut hain

Maikash Akbarabadi

MORE BYMaikash Akbarabadi

    ye maanā zindagī meñ ġham bahut haiñ

    hañse bhī zindagī meñ ham bahut haiñ

    tirī zulfoñ ko kyā suljhā.ūñ ai dost

    mirī rāhoñ meñ pech-o-ḳham bahut haiñ

    nahīñ hai munhasir kuchh fasl-e-gul par

    junūñ ke aur bhī mausam bahut haiñ

    ġhubār-ālūda chehroñ par na jaanā

    unhīñ meñ kaiqubād-o-jam bahut haiñ

    karūñ kyā shikvā terī be-ruḳhī

    ki dil ko be-sabab bhī ġham bahut haiñ

    mujhe kuchh saaz hai nashtar se varna

    mire zaḳhmoñ ke yaañ marham bahut haiñ

    qafas ye jaan kar toḌā thā maiñ ne

    qafas ko toḌ kar bhī ġham bahut haiñ

    karūñ kyā chāra in āñkhoñ 'maikash'

    ki un ke sāmne pur-nam bahut haiñ

    ye mana zindagi mein gham bahut hain

    hanse bhi zindagi mein hum bahut hain

    teri zulfon ko kya suljhaun ai dost

    meri rahon mein pech-o-KHam bahut hain

    nahin hai munhasir kuchh fasl-e-gul par

    junun ke aur bhi mausam bahut hain

    ghubar-aluda chehron par na jaana

    unhin mein kaiqubaad-o-jam bahut hain

    karun kya shikwa teri be-ruKHi ka

    ki dil ko be-sabab bhi gham bahut hain

    mujhe kuchh saz hai nashtar se warna

    mere zaKHmon ke yan marham bahut hain

    qafas ye jaan kar toDa tha main ne

    qafas ko toD kar bhi gham bahut hain

    karun kya chaara in aankhon ka 'maikash'

    ki un ke samne pur-nam bahut hain

    Source :
    • Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 84)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now