ye muqaddar ka likha hai ab ye kaT sakta nahin
ye muqaddar ka likha hai ab ye kaT sakta nahin
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
ye muqaddar kā likhā hai ab ye kaT saktā nahīñ
raah se un kī hamārā paañv jise haT saktā nahīñ
dekh kar rañg-e-chaman aañsū bahāne chāhiyeñ
kyā hamārā ḳhūn-e-dil phūloñ meñ baT saktā nahīñ
kaisī kaisī mahfileñ thiiñ kaise kaise log the
vo sunahrā daur maazī kyā palaT saktā nahīñ
dam-qadam ke saath rahtī hai zamāne kī havā
un ke qadmoñ se koī zarra lipaT saktā nahīñ
dil ke zarre muntashir hokar mile haiñ ḳhaak meñ
jo bikhar jaa.e vo shīrāza simaT saktā nahīñ
hāsidān-e-tīra-bātin se koī kah de 'nasīr'
ilm kā rutba baḌhā karatā hai ghaT saktā nahīñ
ye muqaddar ka likha hai ab ye kaT sakta nahin
rah se un ki hamara panw jise haT sakta nahin
dekh kar rang-e-chaman aansu bahane chahiyen
kya hamara KHun-e-dil phulon mein baT sakta nahin
kaisi kaisi mahfilen thin kaise kaise log the
wo sunahra daur mazi kya palaT sakta nahin
dam-qadam ke sath rahti hai zamane ki hawa
un ke qadmon se koi zarra lipaT sakta nahin
dil ke zarre muntashir hokar mile hain KHak mein
jo bikhar jae wo shiraaza simaT sakta nahin
hasidan-e-tira-baatin se koi kah de 'nasir'
ilm ka rutba baDha karata hai ghaT sakta nahin
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 828)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.