ye nazar ki zad hai zalim mera dam nikal na jae
ye nazar ki zad hai zalim mera dam nikal na jae
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
ye nazar kī zad hai zālim mirā dam nikal na jaa.e
mujhe sirf us kā Dar hai ki ye tiir chal na jaa.e
vo uThī hai ātish-e-ġham kī nafs nafs hai sozāñ
mirī ruuh tap na uTThe mirā jism jal na jaa.e
mire rāz-dāñ se hañs kar vo ḳhitāb kar rahe haiñ
kahīñ thapkiyoñ meñ aakar koī raaz ugal na jaa.e
tirī bazm meñ jo ham haiñ to yahāñ pe ġhair kyuuñ ho
ye ḳhalish nikal na jaa.e ye azaab Tal na jaa.e
vo uThā rahe haiñ chilman vo dikhā rahe haiñ sūrat
kahīñ hosh uḌ na jaa.eñ kahīñ dil machal na jaa.e
maiñ charāġh-e-nā-tavāñ huuñ koī dam kā mehmāñ huuñ
mire sāmne se uTh kar koī ek pal na jaa.e
vo 'nasīr' sun rahe haiñ mire dard kā fasāna
mujhe har ghaḌī hai dhaḌkā kahīñ ruḳh badal na jaa.e
ye nazar ki zad hai zalim mera dam nikal na jae
mujhe sirf us ka Dar hai ki ye tir chal na jae
wo uThi hai aatish-e-gham ki nafs nafs hai sozan
meri ruh tap na uTThe mera jism jal na jae
mere raaz-dan se hans kar wo KHitab kar rahe hain
kahin thapkiyon mein aakar koi raaz ugal na jae
teri bazm mein jo hum hain to yahan pe ghair kyun ho
ye KHalish nikal na jae ye azab Tal na jae
wo uTha rahe hain chilman wo dikha rahe hain surat
kahin hosh uD na jaen kahin dil machal na jae
main charagh-e-na-tawan hun koi dam ka mehman hun
mere samne se uTh kar koi ek pal na jae
wo 'nasir' sun rahe hain mere dard ka fasana
mujhe har ghaDi hai dhaDka kahin ruKH badal na jae
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 722)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.